Google Adsense Vs Affiliate Marketing Kya Best Hai? (Hindi)
Website, Blog, YouTube online internet se earning karne ke Google AdSense and Affiliate Marketing Program top source ban hai. Bahut se log inke jariye net se paisa kama rahe hai aur bahut se log struggle kar rahe hai in dono me se konsa better hai. Isiliye aaj main is article me Affiliate Marketing v/s Google Adsense Me Se Kya Best Hai? ke bare me details ke sath bta raha hu.
Halanki bahut se logo ko internet se paise kamane ki bat fake lagti hai lekin bahut se blogger aur youtuber aaj ke time me internet se lakho kama rahe hai, ye bat alag hai ki kuch logo ko isme success nahi mil pati hai.
Lekin jo people kamaa rahe hai wo jarur sochte hai ki,
- AdSense and Affiliate Marketing Me Kya Best Hai
- Affiliate Marketing aur Google AdSense Me Kya Fark Hai
- Google AdSense or Affiliate Marketing Me Kya Difference Hai
- Google AdSense Ke Fayde Aur Nuksan (Pros and Cons)
- Affiliate Marketing Ke Fayde Aur Nuksan (Pros and Cons)
- Dono Me Se Kisse Jyada Income Ho Sakti Hai
In sabhi aur in dono se related all questions ke answer aapko is post me mil jayenge.
Google AdSense and Affiliate Marketing Me Se Kya Best Hai? Complete Guide in Hindi
Yaha main aapko google adsense, affiliate marketing aur inke pros and cons ke bare me details se btaunga, post padhne ke bad aapko aasani se samajh aa jayega ki in dono me se kya best hai?
Google AdSense - A Quick Overview in Hindi
Google AdSense ek advertising program hai jise google ne banaya hai. Adsense se aap apni site par content and audience targeted automatic text, image, display, video and interactive media advertisements display kar sakte ho.
Online earning karne me google adsense sabse jyada famous aur sabse jyada use hone wala advertising program hai. Adsense earning karne ke liye aapko adsense account bana kar apni site par ad lagane hai aur aapki earning start ho jayegi.
Aap apni website par sidebar widget, layout, post content area, header area, footer area me ad dikha kar earning kar sakte ho. Lekin ad placement karte time aapko adsense policy follow karni hogi.
Google ko bahut si companies apne product ko promote karne ke liye ad provide karti hai aur google ko un advertiser se jo commission milta hai uska 68% google publisher ke sath share kar deta hai.
Google itne jyada ad offer karta hai ki aapki site par kisi bhi type ka content ho uske liye ad mil hi jayega. Google iska khyal rakhega iske liye publisher ko kuch karne ki jarurat nahi hoti hai.
In my case, shuruaat ke liye google adsense paise kamane ka bahut hi achha tarika hai, aap starting me bina kisi knowledge ke iski help se apne blog ke madhyam se achhi income kar sakte ho.
Google AdSense Use Karne Ke Fayde (Adsense Pros)
- Google adsense pay per click par kaam karta hai yani per click ke paise milte hai.
- Kisi bhi product ko sell karne ki jarurat nahi hai, reader ke interested ad par click karne se paisa milega.
- Best selling products par research karne ki jarurat nahi hai, google ye sab khud control kar leta hai.
- Koi bhi user google adsense ke liye apply kar sakta hai bas uske pas apni site honi chahiye.
- Aap ad impression ke against earning kar sakte ho.
- Aapke readers ko unke interest ke hisab se ad dikhaye jayenge.
- Aapko bas apni site par content likhne aur adhik traffic lane ki jarurat hai. Jitna traffic utni income.
Google AdSense Use Karne Ke Nuksan (Adsense Cons)
- Adsense ads se site ki speed bahut slow ho jati hai.
- Aap niche product ad choose nahi kar sakte.
- Aap adsense ads ko optimize nahi kar sakte.
- Google aapko policy violation karne par banned kar sakta hai.
- Aap aesa ad network use nahi kar sakte jo google allow nahi karta ho.
- Aapko koi email support nahi milta hai.
- policy violation karne par approve milna mushkil.
- Aapko only google par believe karna padega, google aapki site ka monetize boss hoga.
- Adsense ads aapke audience ko disturb kar sakte hai aur aapka traffic down ho sakta hai.
Google adsense ki bahut si kamiya hai lekin fir bhi google adsense baki ki tulna me bahut hi badhiya hai, aap kisi bhi type ka blog bana kar adsense ads laga kar earning kar sakte ho.
Affiliate Marketing - A Quick Overview in Hindi
Google adsense ko bilkul ulta kuch companies apni khud ki official website ke through affiliate program or referral program service offer karte hai. Jisme publisher ko unke product ko promote karna hota hai aur badle me unhe kuch commission milta hai.
Ye commission $5 se le kar 5,000 ya isse bhi jyada bhi ho sakta hai. Amazon, ClickBank, WordPress Theme, Web Hosting Providers, Plugins inke sabke liye affiliaye program available hai. Aap apni site ke content ke hisab se affiliate product ko select kar sakte ho.
Jab koi user aapki promote ki gayi link par click kar product buy karega to aapko commission milega aur ek limit ke bad aap payment le sakte ho.
Aapko jis company ke product ko promote kar paise kamane hai aap uske name ke samne affiliate "companyname affiliate" likh kar google search karoge to uski affiliate service wale page ka link mil jayega.
Affiliate marketing ek professional blogger, expert blogger ke liye sabse achha tarika hai apne blog se paisa kamane ka, lekin aap unti hi earning kar paoge jitna aapko experience hoga.
Ek newbie blogger ke liye affiliate marketing me success hona itna aasan nahi hoga, aapko kuch time aur researching ki jarurat hogi anytha aap fail ho jaoge.
Affiliate Marketing Use Karne Ke Fayde (Affiliate Marketing Pros)
- Aap apne niche ke hisab se jo aapko pasand ho wo ad choose kar sakte ho.
- Aapki jitni jyada sell hongi utni hi income hogi, isme sells ki income kam jyada nahi hoti so aap easily sell ke hisab se earning calculate bhi kar sakte ho.
- Income extensive hogi aur ye aapko kai saalo tak pay karti hai. Aap ise long term money making source kah sakte ho.
- Aapko $5 to $5000 tak commission dene wale provider mil jayenge lekin aapko apni audience level ka khyal rakhna hoga.
- Kam time me jyada earnging karne ka affiliate marketing best way hai.
- Aapki site blog par kam traffic se bhi jyada income ki ja sakti hai.
- Income site traffic nahi user trust level par depend karti hai, Jitne log aap par trust karenge utni sell milengi.
- Sabse bada fayda koi bhi aapko ban, stop nahi kar sakta. Aap apni marzi se site monetize kar sakte ho.
Affiliate Marketing Use Karne Ke Nuksan (Affiliate Marketing Cons)
- Affiliate marketing me safal hone ke liye marketing knowledge aur experience hona chahiye.
- Aapke pas targeted and trusted traffic hona chahiye.
- Earning sell hone par hogi, sirf click hone se kuch nahi milega.
- Aap agle din same earning nahi kar sakte, ho sakta hai ek din me 1 lakh dollar kama lo aur ho sakta hai 1 din me 1 dollar bhi na kama sako.
- Apne reader ke sath trust relation ko banaye rakhne ke liye aapko keval behtar product ko promote karna hoga.
Ye sach hai ki aap affiliate marketing se har din ek jaisi income nahi kar sakte lekin adsnese ki tulna me aap isse jyada ummid kar sakte ho, aap 1 din me kai hazaar dollar kama sakte ho.
Google AdSense V/s Affiliate Marketing Me Difference Kya Hai
- Google adsense par aapko only ek bar account banana padta hai jabki affiliate marketing me har product ke liye affiliye program join karna hota hai.
- Google adsense per click pay karta hai lekin affiliate program me per sell income hoti hai.
- Google adsense se ki earning ko direct bank account me receive kar sakte hai lekin affiliate marketing me different method hoti hai.
- Google adsense se auto ad income hoti hai lekin affiliate marketing se product promote karne par.
- Google adsense se low traffic par income nahi kar sakte jabki affiliate marketing se kar sakte hai.
- Adsense ke liye site par orgranic traffic aur affiliate marketing ke liye targeting traffic hona chahiye.
- Google adsense ke liye traffic lekin affiliate marketing ke liye user trust jyada important hai.
- Google site ke har page ke content ke according ad dikhata hai jabki affiliate marketing me manually content ke liye ad search karna hota hai.
Dono me kafi different hai aur dono ke alag alag fayde aur nuksan bhi hai. Ab aapke liye kya best hai wo aapko choose karna hai.
In My Case, Google AdSense vs Affiliate Marketing
Google adsense meri site ka top income source hai lekin sach ye bhi hai ki main iske sath khush nahi hu, isse na sirf site slow hoti hai balki site readers ko problem bhi hoti hai.
Aap ek blogger ho suppose, aapko ad free site achi lagti hai ya ad wali, ad-free wali hai na! kyuki fast load hoti hai aur unwated ad dekhne ki jarruat bhi nahi.
Is hisab se affiliate marketing jyada better hai. Lekin, Oh! main aur aap shayad hindi blogger hai, hindi content ke liye itne affiliate product available nahi hai aur hai bhi to sells milna bahut mushkil hai. Ek hindi blogger ke liye adsense hi better hai, iske bare me main already bta chuka hu.
Post Summary,
Agar aap newbie ho aur kuch time pahle hi blogging shuru ki hai to aapke liye google adsense best hai, lekin iske liye aapki site google policy ko follow karne wali honi chahiye.
Agar aap kafi time se blogging kar rahe ho aur blogging ka achha experience bhi rakhte ho to aapko affiliate marketing study kar iska istemal karke dekhna chahiye.Aap affiliate marketing se itna kama sakte ho ki adsense earning ki tulna me year ko month aur month ko day bana sakte ho.
Aapko kya lagta hai, in dono me se kya best hai aur aap kisko pasand karte hai, comment section me aap apne-apne vichar share kar sakte hai.